Sunday, April 25, 2010

Sad Shayari

Mujhe uski aadat ho chali hai,
sochti hoon ye aadat kaise jaayegi
mushkil hoga usse bhool paana,
is koshish mein shayad naukri chali jaayegi

hai gum bichadne ka ki din kam hai
aei bhagwan dikhana na aise din dubara
ki mujh mein ab himmat kam hai

yaad hai wo pehli mulaqat
yaad hai wo pehli late-night call
yaad hai wo pehli baar 'tum' se 'tu' tak aana
yaad hai wo pehli meethi takraar
yaad hai wo pehli kashmakash
yaad hai wo pehla jaam saath
yaad hai wo pehla izahar
yaad hai wo toofan
yaad hai wo pehli berukhi
aaj jab kuch nahi hai bacha is rishte mein
yaad hai mujhe ab bhi wo jazbaat

Coding ki jagah shayari ho rahi hai,
bhagwan se maut ki guzarish ho rahi hai,
ab to tum aa jao ki marne se pehle,
tumhe dekhne ki chah ho rahi hai

toot ke bikhar sakti hoon mai
unko dil se nikalna jo mushkil hai
kya koi mere dil mein itna utar payega ab
is dil mein jagah pana jo mushkil hai

main teri na ho saki,
tere rang mein rang na saki,
tujhe waqt rehte rok na saki,
kya bataun dost,
majbooriyan aisi thi ki teri khushi k liye kurbaan na ho saki

wo hamare kaabil na ban sake
unhe humse ulfat jo kam thi
hum bhi unhe rok na sake
hum mein ego jo itni thi

hum khush hai ye jaan ke ki unhe hamari zaroorat nahi
saare jattan hue kamyab unse door rehne ke
itna aasan hoga ye kaam
hame tha maloom nahi

aaj fir aap yaad aa gaye
aaj fir aankh mein aansoon aa gaye
bhar lijiye mujhe apni bahon mein aaj
aap se door jaane ke din kareeb aa gaye

Unke pehlun mein rone ko hum taiyar hai,
Apna sab kuch unhe soupne ko taiyar hai,
Bas ab wo der na kare,
ke unhe ek baar dekhkar,
Hum marne ko bhi taiyar hai

Dil mein hai ek toofan, vo jaane kyon nahin thamta
Jisse zikr karein aapka, wo insaan nahin milta
Samajh nahin aata, kami hai zaada kiski,
aapki ya uss ek dost ki jisse chupane pe bhi dil ka koi raaz nahi chupta

Kabhi to kahiye aap hame bhool nahi paayenge,
dosto se bhari mehfil mein hamari kami paayenge
aap chahe na chahe
apni kuch yaado mein hamein zaroor paayenge

No comments:

Post a Comment