Sunday, July 20, 2014

Thought it was finally you

Dekhar tujhe kho jaati hoon
Aankhon mein teri doob jaati hoon
Khud ko bhool jaan chahti hoon
Kyonki aatma ko teri choona chahti hoon
 
Tu mujhe chahe itna ki
Chahkar bhi koi kisi ko na chahe jitna
Banale meri is chah ko apna,
Kya hai tujhmein dum itna
 
Chahe ek doosre ko hum tootkar itna ki
kisi jode ne na kiya ho pyar jitna
saath dekhe ye sansaar itna ki
parindo tak ne na dekha ho jitna
buri nazar choo na paaye hame
chahe zor laga le koi kitna
ho ghar mein khushiyo ka basera itna ki
dil chahe duniya mein bikherna ujjala utna
 
Teri aankhon ki gehrai se bhala kaun ubarna chahega
Teri bahon ke ghero se bhala kaun azaad hona chahega
Tere hoto ke paimano se bhala kaun achoota rehna chahega
Teri baton ke jadoo se bhala kaun bachna chahega
Is piya baawri ko bhala tu kyon naraaz karna chahega

Saturday, July 19, 2014

Turbulent

Ab bhi hoon tanha mai
Ho gayi hoon fir se bejaan mai
Kyon khati hoon thokar har baar mai
Karti thi tujhpe Bhagwaan vishwaas bahut mai