Sunday, April 25, 2010

Romantic shayari

Aksar khayalo mein unse baatein karte hai
ye khwaab haqeeqat ban jaaye, dua karte hai
kaisa aalam hoga jab wo honge sach mein rubaroo
kaise sambhalenge wo ye toofan
ye sochke hum haste hain..

dil hai, to aarzoo hai tumhari
aankhein hai dekhne ke liye surat tumhari
tez dhadkan hai, wo bhi hai den tumhari
shayri hai, to tareef ke liye tumhari
aur kaise kahoon,
ban jao na hamari

Teri aankhon mein wo jadoo hai,
ki dil kheecha chala jaata hai
mat chala ye jadoo mujhpe
ki na chahate hue bhi tujhse pyar hua jaata hai

aapne labho se kuch kaha nahi
fir bhi hamne sab sun liya
ye kamal hai aapki aankhon ka
jinhone hame apna kayal bana liya

Kyon har jagah tumko dhoonti hain hamari nighaien, samajh nahin aata hai
kyon tumhara khayal hamein har pal satata hai, samajh nahin aatan hai
kyon tumhe apne aasuon mein bhigone ko ji chahta hai, samajh nahin aata hai
Kya ye hi pyar to nahin, jisko hamein samjhana nahin aata hai

chand se door chandni nahi,
gulab se door khushboo nahi,
tujh se door mai nahi
aur hamse door mohabbat nahi

Mera dil kyon hai ab tak mere paas,
nahi mila wo banda khaas,
aur kahan dhundu tujhe sanam,
kya tujhe nahi mujhse milne ki pyaas.

Har surat mein dhundu surat teri,
har khawab mein dhundu chavi teri,
har charche mein dhundu baat teri,
ab jaante hai sab deewangi meri,
dhunte hai mujh mein shaksiyat teri.

khaali baithe bhi waqt guzar jaata hai,
sab kamaal hai tera;
tanha akele bhi mann lag jaata hai,
sab kamaal hai tera;
har jagah saath mehsoos hota hai,
sab kamaal hai tera;
bin dekhe bhi pyaar hota hai,
sab kamaal hai tera;

No comments:

Post a Comment