Friday, July 15, 2011

It wasnt you

bechain hoke dhunde tujhe nighaein meri
aaye karaar jo mil jaaye ek jhalak teri
bheed mein na chodna tanha mujhko
chahiye saath mujhe baahon ka teri

dhaate ho kyon itne sitam mujh par
uthate ho mazaa na is kadar mujhe sata kar
pehle hi paagal kar gayi teri nazrein sitamgar
to kyon ghayal karte ho gilli zulfe jhatkakar

doori sahi na jaaye ab to
ye nasha jaane rahega aur kab tak
mil jaaye tu ab to
dekhu raah aur kab tak

Mili hamari rahein
taaki bhool jaun mai zakham purane
ham bhale na mile iske baad
achcha laga aap aaye meri duniya sawarne

Sunday, June 12, 2011

Recollecting older ones...

Romantic ones..

Jaise Kanha ko chahein Meera,
waise chahu tumko mai.
Jaise milein Kanha Radha ko,
waise paana chahu tumko mai.
Meera to kabki ban chuki mai,
ab banna chahu Radha mai.

Dekhte hi laga tu apna hai,
chhute hi laga tu apna hai,
ye haqiqat hai ya koi sapna hai?
jawaab de koi warna mera marna pakka hai

Raat jagmaga rahi hai taaron se,
baagh mehak rahe hai phoolon se,
mai khush hoon is saare aalam se
kyonki mil gaye mujhe woh sau jattano se.

Baithi thi likhne kuch zindagi ke baare mein,
par likh baithi wohi purana unke baare mein,
na jaane kab tak chalega ye sab...
bhej do unhe Bhagwaan, kuch to socho mere baare mein.

Hai likhna mushkil pyaar ke baare mein
kyonki pyaar ke alawaa aur bhi gam hai zamaane mein,
mudatein beet jaati hai ye ehsaas samajhne mein,
samajh lijiye itna ki aasan bada hai mar jaana pyaar mein.

Jhuki nazro se bheje aapko kayi paigam
Bheje khat se bhi apne kai jazbaat
Karte kyon nahi kuch ki dil ko aye mere aaram
Kya lafzo se hi samjhenge mere dil ki baat

tere khayalo mein hardum hoon ab
dikhne laga hai tujh hi mein Rab
chahu paana tujhe apne pahlu mein har shab
jaan ne lagenge kuch dino mein meri ye halat sab

sir jhukaye khade hai hum
aane lagi hai aapse sharam
kehne ko bahut kuch hai sanam
aap ko bolne ke liye pini padegi rum

tujhe neend mein dekhna pasand hai mujhe
tera mere kareeb aana pasand hai mujhe
tera mujhe sambhalna pasand hai mujhe
sochti hoon saup doon apne aap ko tujhe
kya rakh paoge sambhalke mujhe ?

Sad ones..

Kya likhoon lagta hai darr
Kahi nikal na jaaye baat koi galat
Mera dil nahi hai kaboo main magar
Karni hai dosto zaroori dil ki baat

Phir aa gayi teri yaad
Phir chahne lagi mai tera saath
Kahin ho na jaun barbaad
Bacha lo is baar bhole nath

Kaash mile na hote hum tumse
Jeena mushkil ho gaye hai tabse
Bardasht nahi hota ab mujh se
Nikal jao hamesha ke liye mere dil se

Shayad hum mile agle janam mein fir se
tab hone na dena juda mujhe apne aap se
hai yakeen hoge tum har janam mein pyar se
Bas ab khatam ho jaaye ye janam jaldi se

Thursday, March 10, 2011

Writer's block

Kaise kar lete hai log shayari
Mujhse kuch nahi likh pa rah hai
Socha tha likhu kuch
Kai dino se kuch likha nahi hai
Jo guzre ho kuch hadso se
Shayari wo hi likh pate hai
Hoti hai ye apne sachche jazbatto se
Lagta nahi mujh mein bacha ab koi jazbaat hai

Wednesday, January 19, 2011

Kaise de de kisi ko apna dil- My first song

Kaise de de kisi ko apna dil;
Nahi karta mann ab to kisi ko
batane tak ko haal-e-dil.

Purani yaadein gher leti hai ab bhi
Kahan jaein in se bhag ke
Aise haal mein,
Kaise de de kisi ko apna dil

Uljhaya khud ko kai fasaano mein
Nahi aaya fir bhi chain
Itne dard mein
Kaise de de kisi ko apna dil

Soch rahein hai dil toota hai sirf
Ya mila hi nahi unse waapis kabhi
Is bekhudi mein
Kaise de de kisi ko apna dil

Kaise de de kisi ko apna dil;
Nahi karta mann ab to kisi ko
batane tak ko haal-e-dil.

Tuesday, January 18, 2011

Hausla

Aaj kal hoon tanha mai bahut
Door tak mujhe dikh rah andhera hai
Roshni hai surang ke us paar
Us paar mujhe har kimmat pe jaana hai
Ho itna hausla mujh mein
Ki khuda khud pooche mujhse meri raza kya hai

Monday, April 26, 2010

Zindagi ko samjhiye kuch aise- My first poem

Zindagi ko samjhiye kuch aise:
baagh mein phool jaise,
un phoolon mein kaatein jaise.

Zindagi ko samjhiye kuch aise:
aasmaan mein ghire kaale megh jaise,
megha ke saath aaye indrdhanush jaise.

Zindagi ko samjhiye kuch aise:
tez hawa ka jhoka jaise,
udaan bharta us jhoke pe koi panchi jaise.

Zindagi ko samjhiye kuch aise:
koyal ki meethi kook jaise
aur sher ki dhaad jaise.

Zindagi ko samjhiye kuch aise:
raat ka sannata jaise,
raat ke baad aayi subah ki khilti dhoop jaise.

Zindagi ko samjhiye kuch aise:
shishu ki kilkaari jaise,
maa-baap ki tapasya jaise.

Zindagi ko samjhiye kuch aise:
gulshan mein khilte gulab jaise
ya keechal mein khilte kamal jaise.

Zindagi ko samjhiye kuch aise:
madhushala mein pyaas jaise,
jaam peeke befikri jaise.

Zindagi ko samjhiye kuch aise:
thirakti hui nritanga jaise,
aur kabhi thame hue uske toote ghungroo jaise

Zindagi ko samjhiye kuch aise:
bheed mein ghusne ki ghabrahat jaise,
usi bheed se bedaag nikalne ka sakoon jaise.

Zindagi ko samjhiye kuch aise:
pyaar ki umang jaise,
ya kisi apne ko bhoolane ka dard jaise.

Zindagi ko samjhiye kuch aise:
gyani ke antim wachan jaise,
ya seekhna pehla sabak jaise.

Zindagi ko samjhiye kuch aise:
kal kal behte paani mein doobna jaise,
doobte ko mile tinke ke sahare jaise.

Zindagi ko samjhiye kuch aise:
cheeti ka deewar se girna jaise,
himmat na harte hue deewar pe uska phir chadna jaise.

Sunday, April 25, 2010

Romantic shayari

Aksar khayalo mein unse baatein karte hai
ye khwaab haqeeqat ban jaaye, dua karte hai
kaisa aalam hoga jab wo honge sach mein rubaroo
kaise sambhalenge wo ye toofan
ye sochke hum haste hain..

dil hai, to aarzoo hai tumhari
aankhein hai dekhne ke liye surat tumhari
tez dhadkan hai, wo bhi hai den tumhari
shayri hai, to tareef ke liye tumhari
aur kaise kahoon,
ban jao na hamari

Teri aankhon mein wo jadoo hai,
ki dil kheecha chala jaata hai
mat chala ye jadoo mujhpe
ki na chahate hue bhi tujhse pyar hua jaata hai

aapne labho se kuch kaha nahi
fir bhi hamne sab sun liya
ye kamal hai aapki aankhon ka
jinhone hame apna kayal bana liya

Kyon har jagah tumko dhoonti hain hamari nighaien, samajh nahin aata hai
kyon tumhara khayal hamein har pal satata hai, samajh nahin aatan hai
kyon tumhe apne aasuon mein bhigone ko ji chahta hai, samajh nahin aata hai
Kya ye hi pyar to nahin, jisko hamein samjhana nahin aata hai

chand se door chandni nahi,
gulab se door khushboo nahi,
tujh se door mai nahi
aur hamse door mohabbat nahi

Mera dil kyon hai ab tak mere paas,
nahi mila wo banda khaas,
aur kahan dhundu tujhe sanam,
kya tujhe nahi mujhse milne ki pyaas.

Har surat mein dhundu surat teri,
har khawab mein dhundu chavi teri,
har charche mein dhundu baat teri,
ab jaante hai sab deewangi meri,
dhunte hai mujh mein shaksiyat teri.

khaali baithe bhi waqt guzar jaata hai,
sab kamaal hai tera;
tanha akele bhi mann lag jaata hai,
sab kamaal hai tera;
har jagah saath mehsoos hota hai,
sab kamaal hai tera;
bin dekhe bhi pyaar hota hai,
sab kamaal hai tera;